Monday, 21 October 2013

Meri duaon ka asar..!


Bahaar ayi jab nayepan ki
toh sang layi ye paigaam,
sawarne vali hai ab meri
har subah har shaam...

Bekhabar thi, befikar thi,
ya thi jese anjaan
Na jaane kab mil gayi
mere ek sapne ko pehchaan...

Barkha ki pehli pavas ne
jab is mann ki pyas bhujayi,
laga jese mere liye
ek naya janam layi...

Khwahisho ki us baarish se
jab ye mann bheega saara,
chuu ke guzri purva ne
diya tab ye ishaara...

Badalti karvaton ne
simatti salvaton se
jab ye raaz khole...

Thamti saason ne 
badhti dhadkano se
tab ye lafz bole...

Kal tak tha jo bas ek khwab
aaj vo haqeeqat ban gaya hai...
Meri duaon ka asar
ab kaam kar gaya hai!

Zindagi ke is safar ka 
manzar badal gaya hai...
Meri duaon ka asar  
ab kaam kar gaya hai!

Apni masoom nazron se koi
shararat kar gaya hai...
Meri duaon ka asar 
ab kaam kar gaya hai!


Saturday, 17 August 2013

Kesa nasha hai!

Paaw se sar tak, sansanahat hai...
Kaun si rut hai, jiski aahat hai...
Jaane boondo me kesa...
kesa nasha hai!

Rooh se dil tak, gungunahat hai...
Kaun si rut hai, jiski aahat hai...
Jaane boondo me kesa...
kesa nasha hai!

Dhun ye hai kesi
Gaa rahi rimjhim..
Boondo me jese
Gunji hui sargam...
Behke se hum
Mehka sama
Hua aaj phir..... mausam jawan

Hothon pe harpal, muskurahat hai
Kaun si rut hai, jiski aahat hai..
Jaane boondo me kesa... kesa nasha hai!