Friday, 20 January 2012

ankaheen baatein

kuch ankaheen si baatein
chubhti hai is dil ko
ye aankhein paati hai
bheed me bhi suunepan ko..


ek-ek pal ginti hai nigaahaein
sametey hue harr yaad ko
intejaar me rehti hai hardam
kab koi sapna sakaar ho..

aur hai bhi toh kya?
sirff ummeed! jispe tiki hai khwaabon ki neev
tayyar hai vo toh sab kuch lutaney ko

kya huq hai usey ki
vo chheeney apno ki khushiyaan
jin tak simti hai uski hi apni duniya


sukhi huyi aankhein hai
baaki nahi hai ab kuch
kya jaan payega ye jahaan
uski is tadpan ko?

Friday, 6 January 2012

seekha hai maine!

zindagi se kaha mene muskurakar
bohot khush hu main tujhko pakar
rehmat hai jo mere apno ki
unhi ki duaon ka  toh hai ye asar!

tanhai mein jo tha adhurapan
legayi mujhse churake vo pavan
paavas ne jo pyaas mitayi 
phir se mehak gaya ye jeevan!

adaein churakar mausam se
bikhere mene zindagi me naye rang
choom ke khushbu phoolon ki
gaati hun ab main fizaon ke sang!

khabar nahi mujhe is duniya ki koi
parvah nahi badalti rituon ki
bhul ke rishta sukh-dukh ka
main toh  apne hi rang mein khoyi!

sunke meri baatein zindagi ne...
mujhse kaha hai yun hanskar
sath tere ye muskaan hai jabtak
main bhi sath nibhaungi tabtak!

isiliye seekha hai mene...
khilkhilakar bas gungunana
taaki sikha sakun main sabko
khush reh kar zindagi bitana!!

kaash kuch esa ho jaye

It all starts with a dream ! or rather i should say;
Ek Khwahish...

kaash kuch esa ho jaye... 
jab jab badhau main haath apna
ye qaynaat meri ho jaye
kaash kuch esa ho jaye...

ho jab phir ek subah nayi
bikhre ho roshini ke rang kayi
kholu jab ye palkein apni
muskurati huyi vo hawa chuu jaye
kaash kuch esa ho jaye...

asmaan bhi barsey khushiyan saari
gungunaye saath mein fizaen bhi
or harr kadam pe mere
ek chanakti taal ban jaye
kaash kuch esa ho jaye..

khilkhilake gunjey jab meri hansi
phool hanse, panchii bhi gayen
or sisaktey aansoo bhi
duur kahin pe gum ho jaye
kaash kuch esa ho jaye...

dhoondu jab andheri raahon me
raasta main apni manzil ka
chaand taarey yun jagmagaakar
mujhse meri tanhayi le jaye
kaash kuch esa ho jaye...
ho jahaan mein pyar itna
gehrayi ki tarah jo sagar mein samaye
jee lu ek pal mein sapna apna
or vo lamha zindagi bann jaye
kaash kuch esa ho jaye...!